na doobta suraj na neela aasman
na jade ki garmi na thithurta saman
mere sapano main basa mera jahan
pani ki kal kal na chidiya ki chahek
na khilti kaliyan na phoolon ki mahek
na sunhera karti aangan ki dhoop
barish ki boondh na dharti ko choom
na panchiyon ka aasman par dera
na baadlon ne aasman ko ghera
na chalti pavan san san kar
na padati chandni chan kar
na baton ki duniya hansi se bhari
na gam bantathe doston ki ladi
na deepawali main ghar deepak se bhar
na holi main khelna rangon se zara.
na sar par kisika hath na bado ka ashirwad
na jhukta mastak na koi karta fariyad
sab achha hota to kyon marta main
sab bura hota to kyon jeeta main
na sab bura hai na sab achha
zindagi jeene ka yehi to hai maza
kabhi ankhon main aansoo aur kabhi hothon par hansi hogi
kabhi jeet main khusi anr kabhi haar par dhukhi hogi
ek chota se sapna lekar chal wahan
jeebhar kar jee zindagi yeh hai mera jahan