Saturday, February 23, 2008

Tera Chehra

Jane kyon hawa hai chalti
jane kyon dadkan hai badti
kya chai hai madhushala ki madhoshi
jane kyon mujhe tu hai dikhti.

Tere chehre ki yeh laali
Jaise pankti ho gulab ki
Yeh tere ankhon ki khamoshi
Dastak ho jaise sailaab ki
Chu kar kano ki yeh baliyan
Jane kya mujhse hai kehti
Kya baji hai kanahiya ki bansi
Jane kya radha hai kehti

Milne ki to aarzoo nahin
Phir bhi ek tamanna ho aai hai
Shahnai ki ek mehfil main
Tu meri hokar aai hai
Is deewane dil ki dadkane hai anmol
Har ek main jo tu hai basati
Kya chaya hai ranjhe ka suroor
Jane kyon tu heer ban sakti

Khwabo ko bhi hamse naarazgi ho gai
Neend ne hamse naata toda hai
Bhook pyaas harsh ullas chodkar
Dard ke bandhan se naata joda hai

Nayanon ki dharon main kya na baha
Par dikhta raha har pal tera chehra
Aur is chehre ki masumiyat ne
Saza dekar laga diya pehara

Darde diwaar main hamein rehna manzoor hai
Jo teri ankhen nahin hai sesakti
kya chai hai madhushala ki madhoshi
jane kyon mujhe tu hai dikhti.

Thursday, January 10, 2008

mera jahan

na aasha na niraasha wahan
na doobta suraj na neela aasman

na jade ki garmi na thithurta saman
mere sapano main basa mera jahan

pani ki kal kal na chidiya ki chahek
na khilti kaliyan na phoolon ki mahek

na sunhera karti aangan ki dhoop
barish ki boondh na dharti ko choom

na panchiyon ka aasman par dera
na baadlon ne aasman ko ghera

na chalti pavan san san kar
na padati chandni chan kar

na baton ki duniya hansi se bhari
na gam bantathe doston ki ladi

na deepawali main ghar deepak se bhar
na holi main khelna rangon se zara.

na sar par kisika hath na bado ka ashirwad
na jhukta mastak na koi karta fariyad

sab achha hota to kyon marta main

sab bura hota to kyon jeeta main

na sab bura hai na sab achha

zindagi jeene ka yehi to hai maza

kabhi ankhon main aansoo aur kabhi hothon par hansi hogi

kabhi jeet main khusi anr kabhi haar par dhukhi hogi

ek chota se sapna lekar chal wahan

jeebhar kar jee zindagi yeh hai mera jahan

Saturday, December 29, 2007

kabhi aankho se mere dil main utarna
baho ko phella kar kuch aisa jaadu karna
bhool jaoon main saare gam
bas dikhe mujhko tera sang
chand ko hatheli main dharna

lagne lage pyaara jahan
chah chuna hai aasman
mushkil ko aasan hai karna
kabhi aankho se mere dil main utarna

na saaki ka jaam de
pyaar ka imthiyaan le
soch na kya hoga kal
pyar to hai umar bhar
bas tujhse hai yeh kehna

aaja mere tu roobaroo
dastaan jo ho shroo
saat janam tak sang chalna

dil ki yeh fariyaad hai
mujhko tuhse pyaar hai
dil ke samandar se darna
kabhi aankho se mere dil main utarna

laga ke rog pyar ka
khwab to bas hai yaar ka
sacha main bas tujhko karoon
bahon main bas tujhko bharoon
zakham ko tujko hai bharna

na duniya ka zor ho
khomoshi ko na shor ho
chupke se mere konon main kehna

tujko bhi mujhse pyaar hai
inkar nahin ikraar hai
labzon se sach nikalna
kabhi aankho se mere dil main utarna

Sunday, November 25, 2007

kuch khwab hain adhoore

Dil ki yeh aawaz hai

jeena ka yeh andaaz hai

kyon na ho sapne woh poore

jo kuch khwab hain adhoore.



pani main jo aag hai

lagti ravi ki pyaas hai

paane ka uska bhi

ek alag andaaz hai.



chahat hai wahi jo dil ne kahi

mausam ki jo muskaan hai

hotho se dil main basa kare

jane kis soch ki dookan hai



maana har jeev ko udna ka hak nahin hota

khushion main kabhi gam ko nahin khota

mere liye to yeh aasama bhi thoda hai chota

kwhabon ki duniya main nahin main sota



parvat se takrakar hava mud jaati hai

baadlon ka jhoka suraj ko dhak jaati hai

nanha phool bagiyaan mehka deta hai

chota sa dimag duniya hila deta hai



kholo muthi ab to ud chalo

aashayon ke pankh ko dharo

apni duniya main paon rakho

aur buland awaaz main yeh kaho



mere khwabon ko palne do

duniya se samjhota na karo

ek din to honge poore

jo kuch kwhab hain adhoore